Non ti piace? Non importa! Puoi restituire gli articoli fino a 30 giorni
Non puoi sbagliarti con un buono regalo. Con il buono regalo, il destinatario può scegliere qualsiasi prodotto della nostra offerta.
Fino a 30 giorni per il reso
Re Man!
Yah kriti keval ek samvad nahin,
apne hi antarman se milne ka ek nimantran hai.
Jeevan koi aisa prashn nahin hai jiska uttar sada tarkon ya klisht siddhanton mein hi mile. Hum sab ek aisi anavarat daud mein lage hain, jahan kuchh pane, kuchh banne aur swayam ko siddh karne ka nirantar tanav hai. Par kya kabhi humne rukkar apne hi man se poochha hai, kyon?
'Re Man!' antarman ka samvad hai. Ismein man se prashn kiye gaye hain, aur man ko hi apne bheetar uttar khojne ke liye aamantrit kiya gaya hai.
Sufi santon aur prachin rishiyon ki chintan-parampara se prerit yah 108 padon ka samvad manushya ko apne bheetar lautne, apne vicharon ko dekhne aur antatah us shanti ko pahchanne ka avsar deta hai, jo bahar nahin, bheetar upasthit hai.
Shayad har prashn ka uttar shabdon mein nahin hota.
Kuchh prashn dheere-dheere maun ho jate hain
.Aur usi maun mein man swayam ko sunne lagta hai.
Shayad is samvad-yatra mein aapka man bhi apne kisi ankahе prashn ko sun paye.
Ciao! Sono Libroamiko, il tuo consulente di libri.
Come posso aiutarti?